Thank you for visiting our website!

Wasi Shah Best Poetry


Main Kahin Bhi Kisi Nagar Mein Raha

Main kahin bhi kisi nagar mein raha
Tere asaib ke asar mein raha

Woh bhi paagal hua juda ho kar
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha

Aik jadugari to thi tujh me
Mein bhi kuch din tere asar mein raha

Bheegta doobta raha dil mein
Tera chehra meri nazar mein raha

Pesh-kash maan li zamane ne
Aur ek mein, Agar magar mein raha_____!!
__________________________


Tum Jis Baat Pay Hanste Ho Main Ro Parta Hoon

Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho

Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho

Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho

Soch raha hon kitne zyada alag alag hain
Teri meri soch ke dhaarey

Kitne zeyada judaa judaa hain
Soch raha hoon

Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese____!!
__________________________


Jo Us K Samney Mera Yeh Haal Aa Jaaye

Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye

Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga
Agar khayal ko tera khayal aa jaye

Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge
Hamare hath agar teri shaal aa jaye

Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye

Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga
Agar kahin se koi aur maal aa jaye

Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye

Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye___!!
__________________________  


Jo meri ankhon se khawab daikho 

Jo meri ankhon se khawab daikho
To aik shab bhi shab na so sako ge

K lakh chaho na hans sako ge
Hazaar chaho na ro sako ge

K khawab kia hain aazaab Hain yeh
Mere dokhon ki kitaab hain yeh

Rifaqatain In main chotti hain
Mohabbatain in me rothati hain

Pinapti hain in me wahshaten se
Aziaten in main photati hain

Unhi ke dar se khizan hain jazbe
Unhi se shakhen se totati hain

Ghamon ki bandish hain khawab mere
Dhokon ki barish hain khawab mere

Obhal raha hai dukhon ka lava
Rahen atish hain khawab mere

Khayal sare Jholas gae hain
Sulagti Khwahish hain khuaab mere

Okharti Sansain hain Zindagi ki
Lahoo ki sazish hain khawab mere

Jo meri ankhon se khawab dekho
To aik shab bhi na so sako ge____!!
__________________________ 


Tum Ney Kaha Tha

Tum ne kaha tha
Pehli barish ke parte hi
Laut aao ge___!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge
Dekho jana___!!
Kitni phua’rain beet chuki hain
Saawan phir se laut ke aaya hai
Barson pehle kiya tha tum ne
Mujh se ehad
Nibhaa jao na
Janaan! Laut ke aajao naa
Ab to laut ke aajao naa__!!
__________________________  


Dard Ki Dil Pey Hakoomat Thi, Kahan Tha Us Waqt

Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?

Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?

Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?
__________________________