Thank you for visiting our website!

Ghazals

Ghazals

Mehdi Hassan's Shayari Collections

Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain

Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain

Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…


**********



Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

**********



Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho

Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho

Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho

Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho


**********

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi

Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi

Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi


**********

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi

Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi

Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi

Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi

Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi


**********

Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota

Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota

Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota

Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota

Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota

Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…


**********

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do


**********

Kisi Se Baat Karna Bolna Achcha Nahi Lagta
Tujhe Dekha Hai Jab Se Dusra Achcha Nahi Lagta

Teri Ankhon Me Jab Se Mai Ne Apna Aks Dekha Hai
Mere Chahre Ko Koi Aaina Achcha Nahi Lagta

Yahan Ahle Muhabbat Omr Bhar Barbad Rahte Hain
Ye Dariya Hai Ise Kachcha Ghada Achcha Nahi Lagta

Tere Bare Me Din Bhar Sunchti Raheti Hoon Laikin
Tere Baare Me Sab Se Puchna Achcha Nahi Lagta

Mai Ab Chahat Ki Us Manzil Me Aa Ponchi Hon Rehana
Teri Janib Kisi Ka Dekhna Achcha Nahi Lagta


**********

” yaad nahi kya kya dekha tha sare amnjar bhool gaye….
unaki galiyonse jub laute apana bhi ghar bhool gaye

khub gaye pardes ke apani dewareon dar bholl gaye
shish mahal mein aaisa duba mitti ke ghar bhool gaye

tuzako bhi jub apani kasme apne wade yaad nahi
hum hi apane khawab tere aakhon me rakh kar bhool gaye

muzako jinhone katal kiya hai koi unhe batlaye “Najir”
meri lash ke pahaloo me woh apane khanjar bhool gaye ”


**********

Tum apne mahal ki fikar karna
Garibo ka jhappar jalane se pahle
Aajmana apne pyar ko kasauti par
Kisi diwane se dil lagane se pahle
Yakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumhare
Pyar bhare dil ko jalane se pahle
Chhalkenge aansu aankhon main hajar bar
Mohababat main rang lane se pahle
Chamak uthegi aasma main bhi bijliya
Bin badal barsat aane ke pahle
Toot jate hain khwab mohababat main aksar
Suna hai khwab sajnae se pahle
Yah mashum chehre bhi dete hain dhokha
Na samjhega koi chot khane se pahle
‘Avinash’ ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaron
Bewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle.


**********

Aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vohii Khudaa degaa

Mera qhatil hii meraa mu.nsif hai
kyaa mere haq mein faisalaa degaa

Zindagii ko Qariib se dekho
isakaa cheharaa tumhein rulaa degaa

hamase puuchho dostii kaa silaa
dushmanon kaa bhii dil hilaa degaa

ishq kaa zahar pii liyaa “Faakir”
ab masiihaa bhii kyaa davaa degaa

Poet: Sudarshan Faakir
Present by : Mohammed Javeed Ahsan


**********

Aaj mujhe apna pyar nazar aa gaya,
lagta hai ki sara jahan nazar aa gaya,
is qadar khushi nahi huyi thi aaj tak,
na jane kaisa aaj hamara andaz hi ho gaya…

neend hi nahi aa rahi yhi hame kal raat,
aapki tasweer dekhi na jana kab main so gaya ,
neend me bhi sata rahi thi bechaini hame,
khwab aapka aaya,bechaini ka naamonishan kho gaya……..

yaad aapki is qada aa rahi thi,
deedar aapka hua apki ankhon me kho gaya,
aa bhi jaao na satap iss qadar hame ,
kahin aisa na ho jab aap aao tokoi ye kahe aapse ,
aapka sachcha aashiq to abhi abhi janaze pe rawana ho gaya…………..


**********

Ai ishq tu aa kabhi deewangi ke saath-saath,
milte hain, bichchadte hain hum apne haalaaton ke saath-saath,
wo to aate hi nahi per yaad aati hai unki,
ai waqt tu bhi to aa kabhi unke deedaar ke saath-saath……..
Main gunahgaar hoon ,siyakaar hoon ,batkaar hoon,
koi aaye aur mujhe le jaaye apne saath-saath,
main ho jaaoonga qaamyaab iss tanha zindagi me,
per waqt bhi to aaye kabhi khushi ke lamhaaton ke saath-aath…..


**********

Tere husn ki taarif karte-2 kahin meri umr na baat jaye,
sambhaalo mujhko kahin mera damm na toot jaye,,,,,,,
koi kehta hai aashiq to koi deewana kehta hai,
koi awaara to koi hame ek fasana kehta hai,
tu hi bata kya hoon main?isse pehle ki meri khushi mujhse rooth jaye,
sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye………..
har leher samundra se puchhti hai thikana mera ,
kahi aise me yaad na aajaye mujhe guzra zamana mera,
jis zamane me  the ham khushi se gungunaye,
sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye………………..
ye aur baat hai mujhe tumhare  siwa kuchh dikhta nahi,
ye gaur talab hai ki mujhko tumhare siwa kuch soojta hi nahi,
aaj tod do intiha isse pehle ki aaj hadd hi ho jaaye ,
sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye…………


**********

Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Mai Aa Nahi Sakti

Jo Dil Mai Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
Ke Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti

Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Jaa Nahi Sakti

Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mai Meri Baat Aaa Nahi Sakti

Yeh Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti

Simat Rahi Hai Mere Baazuoun Ke Halqay Mai
Haya Ke Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti

Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti

Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mai Jesey
Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti

To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti


**********

Mohhabat Ka gum hota bahut Hai,
Ke ab Ye Lafz Bhi Ruswa bahut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kya Bataun?
Gali Kochon Mein sannata bahut Hai,

Na milne Ki qasam Kha Ke Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bahut Hai,

Ye Aankhein Aur Kya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bahut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hain Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,


Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bahut hai…


                                                         **********