Thank you for visiting our website!

Koi Deewana Kehta Hai


Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai 
Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai 
Main tujhse dur kaisa hun,tu mujhse dur kaisi hai? 
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai 

Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai 
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai 
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai
Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai 

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta 
Yeh aasu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta 
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le 
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta 

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama 
Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama 
Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka
Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama 

Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya 
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya 
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa 
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya 

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai 
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai 
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin 
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai 

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain 
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain 
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain